Добро пожаловать
Вход / Создать Плейлист

Zomato और SEBI में तनातनी

Спасибо! Поделитесь с друзьями!

URL

Вам не понравилось видео. Спасибо за то что поделились своим мнением!

Sorry, only registred users can create playlists.
URL


Добавлено by Admin В Рынок ценных бумаг
56 Просмотры

Описание

#adigitalblogger #zomato #sebi
Zomato Vs SEBI

Zomato ka share price investors ko dukh deta jaa raha hai, aur Zomato ki Corporate/Management SEBI ko.

Pichle saal August mein hi IPO aaya tha Zomato ka aur ek hi mahine mein SEBI ne aade haath liya ban gaya jab Zomato ne publicly yeh disclose hi nahi kiya ki unka co-founder Gaurav Gupta ab company se resign kar rahe hain.

Aur ab Zomato ki IPO ke poore ek saal bad phirse waisi hi gadbad hui hai.

Zomato ke CEO Deepinder Goyal ne “internal communication” ke naam par company ke sabhi employees aur management ko mail kar diya. Mail mein elaan tha ki Zomato ab se Zomato nahi Eternal ke naam se jaani jaegi, aur woh akele company nahi chalenege.

Company alag alag hisso mein bategi aur alag alag CEO honge joh ki milkar ek super team honge. Yaani ki Zomato, Blinkit, Hyperpure, and Feeding India; yeh sab Eternal ke under aaenge aur har ek ka apna CEO hoga.

Ab yahi baat jab akhbaron mein chaap gayi toh SEBI ko gussa aa gaya. Aur aana hi tha, kyunki aisi restructuring ki baat public mein aaye news reports ke through naa ki official disclosure, then ek listed company ki zimmedari banti hai ki woh SEBI ko clarification de.

Zomato ne 24 hrs mein clarify toh kiya lekin usmein bhi wahi reasn diya joh pichli baar diya tha ki yeh sab internal communication ka hissa hai. Yeh information public ke liye nahi hai.

Ab SEBI ko yeh jawab kitna pasand aaega yeh toh waqt hi bataega.

Написать комментарий

Комментарии

Комментариев нет. Будьте первым кто оставит комментарий.
RSS