Добро пожаловать
Вход / Создать Плейлист

Credit Suisse लाएगा दुनिया में Recession

Спасибо! Поделитесь с друзьями!

URL

Вам не понравилось видео. Спасибо за то что поделились своим мнением!

Sorry, only registred users can create playlists.
URL


Добавлено by Admin В Рынок ценных бумаг
59 Просмотры

Описание

Koi insaan ho ya, ya koi institute iske dwara uthaye gaye galat kadam isse aur saath me jude hue logon ko bhi patan ki taraf lekar jaate h. Investment bank Credit Suisse esa hi ek example h jo diwaliya hone ki kagar par h jiss se duniya bhar ke stock market me khalbali macch sakti h.

Saal 2022 February me ek investigation me saamne aaya ki Credit Suisse ne international law ko violate karke ese logon ka dhan jama kiya hua tha jo Drug Aur child trafficking,money laundering, corruption jese serious criminal cases me involve the. Investigation saamne aate hi company ke shares buri tarah gir pade.

Pichle saal ke shuruaat me Credit Suisse ka share US stock market me 15 dollar ka tha uski kimat ab girkar 3.98 dollar reh gayi h.


Halat kitne kharab h is baat ka andaza aap issi baat se laga sakte h ki ek saal pehle Credit Suisse ka market capitalisation 22.3 billion dollar tha jo ab ghatkar sirf 10.4 billion dollar reh gaya h.

Stock market ke jaankaro ka yahi kehna h ki Credit Suisse agar diwaliya ho jata h to ye dunia bhar ke stock markets me wesa hi kohram macha dega jesa USA me Lehman Brothers naam ke bank ke kangal hone se 2008 me hua tha.

Halanki CEO Ulrich Korner ne 30 September ko ek memo jaari karke yahi kaha h ki stock price se company ki finanacial ka sahi andaza nahi lagta aur company fundamentally strong.

Ab samay hi batayega ki Credit Suisse apne iss sankat se ubar paati h ya 2008 wale stock crash ke repetition ki pehli kadi banti h.

Baki aap A Digital Blogger ko subscribe kijiye taaki aap stock market crash se bache rahe.

#adigitalblogger #stockmarketindia #shorts #shortsvideo #short #stockmarket #creditsuisse

Написать комментарий

Комментарии

Комментариев нет. Будьте первым кто оставит комментарий.
RSS